hun tere tasawwur mein meri jaan hama-tan-chashm dil hai mera jun aaina hairan hama-tan-chashm ta ek nazar dekhe tujhe ai mah-e-taban rahta hai sada mahr-e-darakhshan hama-tan-chashm aankhon ko male taki tere panw ke niche har naqsh-e-qadam se hai bayaban hama-tan-chashm diwangi meri ke tahayyur mein shab-o-roz hai halqa-e-zanjir se zindan hama-tan-chashm us aaina-ru ke hai tasawwur mein 'nazir' ab hairat-zada nazzara pareshan hama-tan-chashm