sote sote achanak gali dar gai dopahar chil ki chikh se bhar gai ek jhonka ruka aa ke dalan mein ek mahak dil ko bechain sa kar gai wo ghane jangalon mein kahin kho gaya yaad us ki samundar samundar gai aaj ki subh thi kis qadar mehrban phul hi phul gul-dan mein bhar gai ghar mein 'alwi' naya rang-o-roghan hua shakl thi ek diwar pe mar gai