hun wo momin jise iman se sarokar nahin wo barahman hun jise hajat-e-zunnar nahin gang wo kan jo waqf-e-sukhan-e-yar nahin kor wo aankh jise hasrat-e-didar nahin kufr se kaam na iman se matlab hai hamein donon aalam se ba-juz tere sarokar nahin kya khabar-dar karega tu hamein o zahid aap tu apni haqiqat se khabar-dar nahin kab tere jalwa-e-didar ne hairan kiya kaun sa din hai ki hum naqsh-ba-diwar nahin sarfaroshi sifat-e-kohkan aakhir mein hai ishq pahle to bahut sahl hai dushwar nahin dahan-e-gor se aati hai sada mayyat ko aaj hamdam nahin tera koi gham-khwar nahin dekh kar us ko ye hon mahw ba-rang-e-taswir hai zaban munh mein magar taqat-e-guftar nahin chashm-e-dil khol agar hai talab-e-did 'akbar' nazar aaega in aankhon se wo didar nahin