husn ka talib agar hai ishq ke aazar khinch

husn ka talib agar hai ishq ke aazar khinch
sadma-e-hijr-e-masiha ai dil-e-bimar khinch

jaan-nisaron par na zalim har ghadi talwar khinch
khun se apne wafadaron ke hath ai yar khinch

rukh par aanchal ka na parda ai pari-rukhsar khinch
dida-e-ushshaq par ai gul na yun diwar khinch

mard-e-maidan-e-mohabbat hai to ai rustam nikal
kuchh sakat ho to kaman-e-abru-e-khamdar khinch

aashiq-e-ru-e-butan ko nighat-e-gul se gharaz
ho sake to ai saba itr-e-gul-e-rukhsar khinch

hai jo har surat mein manzur us ka nazzara tujhe
ghafil aankhon se tu apne parda-e-pindar khinch

hashr ko arsa hai kya is wade ko bhi dekh len
khair thodi aur iza ai dil-e-bimar khinch

der se hazir hain qatil marka mein kushtani
pesh-o-pas kis baat ka hai myan se talwar khinch

sath ghairon ke na ja sair-e-chaman ko ai hasin
mujh ko kanton par na tu ai ghairat-e-gul-zar khinch

ho gaya kya saya-e-baal-e-huma saya tera
is qadar dur aap ko mujh se na ai diwar khinch

sab pe yaksan chashm-e-rahmat teri saqi chahiye
is taraf bhi to nigah-e-naz ki talwar khinch

surat-e-taswir hairan ho gaya hai aap wo
kya kahun mani se main taswir-e-ru-e-yar khinch

ai meri taqdir ab le chal madine ki taraf
jazba-e-dil jaanib-e-batha mujhe ek bar khinch

huren le jaengi pairahan basane ke liye
itr khak-e-pak-e-taiba ka to ai attar khinch

ai zulekha hai ye aadab-e-mohabbat se ba-sad
shahr-e-kanan se na yusuf ko su-e-bazar khinch

hum se diwanon ki hai jagir mein taiba ka dasht
ai junun majnun hi ko tu jaanib-e-kohsar khinch

hai jawar-e-hazrat-e-mahbub-e-haq 'akbar' ki ja
jaanib-e-jannat na ai rizwan ise zinhaar khinch


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close