hunar-e-zakhm-numai bhi nahin sila-e-abla-pai bhi nahin dard-e-sar ab tere hone ka sabab ab to wo dast-e-hinai bhi nahin main ne har rang sameta us ka aur taswir banai bhi nahin bandagi bhi na mujhe ras aai aur pindar-e-khudai bhi nahin jal gaya jis mein mera sara wajud tu ne wo aag lagai bhi nahin ai khuda bakht-sinkandar mat de aur kashkol-gadai bhi nahin