le qaza ehsan tujh par kar chale hum tere aane se pahle mar chale kucha-e-jaanan mein jaana hai zarur chahe aara sar pe ya khanjar chale bas ye hai ku-e-butan ki sarguzisht sar pe mere saikdon patthar chale ku-e-jaanan ka na paya kuchh nishan khizr ke ham-rah hum din bhar chale pai tere dar pe aa kar zindagi o masiha kha ke hum thokar chale dekhiye dekhenge kya roz-e-jaza yan bashar aae wahan ba-shar chale ho khizan kyun-kar na gulshan ki bahaar jab yahan baad-e-saba sar-sar chale bazm se jate ho duzdida-nazar nim-bismil kar chale kya kar chale qaul-e-waiz ne na kuchh tasir ki kushta-e-kakul pe kab mantar chale khun teri tirchhi nigahon ne kiya lakh khanjar ek kushte par chale farsh par hai yun khiraman rashk-e-mah arsh par jaise koi akhtar chale kab hui sauda-e-mizhgan se shifa nashtaron par saikdon nashtar chale