hunar jo talib-e-zar ho hunar nahin rahta mahal-sara mein koi kuza-gar nahin rahta bichhadte waqt kisi se hamein bhi tha ye guman ki zakhm kaisa bhi ho umr-bhar nahin rahta main apne haq ke siwa mangta agar kuchh aur to mere harf-e-dua mein asar nahin rahta kuchh aur bhi guzar-auqat ke wasile hain gada khazina-e-kashkol par nahin rahta wo kaun hai jo musafir ke sath chalta hai khayal-e-yar bhi jab ham-safar nahin rahta jise banate sajate hain jis mein rahte hain sawere aankh khule to wo ghar nahin rahta khuli faza na rahe yaad agar parindon ko gham-e-shikastagi-e-baal-o-par nahin rahta hum ek shab mein kai khwab dekhte hain so ab wo aa ke khwab mein bhi raat-bhar nahin rahta 'kamal' log bhi kya hain guman ye rakhte hain jo bas gaya ho kahin dar-ba-dar nahin rahta