kya guman tha ki na hoga koi ham-sar apna din dhale saya muqabil hua badh kar apna ghar se nalan the magar dekhi hai duniya hum ne hai agar koi aman-gah to bas ghar apna dard pe kaisa sharar ban ke utha pahlu mein hum to yun khush the ki dil kar liya patthar apna raat-bhar koi na soe to sune shor-e-fughan chand ko dard sunata hai samundar apna dukh uthae to bahut rang khud apne dekhe kam qayamat se na tha jo bhi tha manzar apna roz-o-shab apne kisi se nahin milte hain 'kamal' hum to lae hain alag sab se muqaddar apna