hunar-wari ko na shoala na rakh dagh bana

hunar-wari ko na shoala na rakh dagh bana
jo dil mein lau hai use sher mein charagh bana

wahin se ishq-e-musalsal se aaegi khushbu
alag-thalag hi sahi koi apna bagh bana

parinde baithe hue the shajar ke pahlu mein
ki shor-o-ghul ka sabab ek ghol-e-zagh bana

bana raha hun main ek naqsh teri chahat ka
kabhi to dil ye bana hai kabhi dimagh bana

usi ke nam ki takhti ne rahnumai ki
wahi to gum-shuda 'manzar' ka ek suragh bana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close