hijr ke din ki raat hui barsat hui aankh se dil ki baat hui barsat hui tanha tha to saf raha ye matla-e-dil yaad tumhaari sat hui barsat hui dil ka album khol ke gum-sum baitha tha taswiron se baat hui barsat hui dhup masafat kati hum ne hans hans kar manzil par jab raat hui barsat hui pyar ke khel mein manzar ye bhi dekha hai jit hui ya mat hui barsat hui