hur-o-qusur se na bahisht-e-barin se hai nazan hun main ki mera talluq zamin se hai waqf-e-farogh-e-rang-nazar aur dil ba-zid pairahan-e-hayat darida kahin se hai sajdon ki zau nahin hai to zakhmon ke phul hain baqi koi to sang ka rishta jabin se hai kya zikr-e-be-rukhi ki ye shewa hai husn ka shikwa mujhe teri nigah-e-awwalin se hai main tera bankpan hun mujhe hath se na kho angushtari ki zinat-o-qimat nagin se hai dhul ud rahi hai dida-e-khun-naba-bar mein qaem ab ashk-e-gham ka bharam aastin se hai hum bhagte phiren ye murawwat se hai baid jab gardish jahan ko aqidat hamin se hai aashob-e-rozgar ne ye haal kar daya baaten kahin ki hain to hawala kahin se hai 'khawar' kisi bhi rishte ko hasil nahin sabaat juz rishta-e-wafa jo dam-e-wapsin se hai