hurmat-e-ishq tujhe dagh lagane ka nahin baat banti na bane baat se jaane ka nahin ya-khuda khair ki hum donon ana wale hain wo bulane ka nahin aur main jaane ka nahin wahshati hun so gareban ko aa sakta hun mujh se darne ka magar mujh ko darane ka nahin budhe aasab kahan sahte hain aulad ka dukh meri taklif meri man ko batane ka nahin hum to ek aisi zamin par hain jahan lashen hain tum ne jo naqsha diya tha wo khazane ka nahin main azal ta-ba-abad aur abad ta-daim is ka matlab main kisi ek zamane ka nahin dars ye khas hamein aal-e-payambar se mila sar katane ka magar sar ko jhukane ka nahin main abu-bakr-o-ali wala hun 'yunus-tahsin' mujh ko mulla ke masalik se milane ka nahin