hurmat-e-zindagi nahin jati

hurmat-e-zindagi nahin jati
khud-kushi hum se ki nahin jati

takhta-e-mashq ban rahe hain log
waqt ki barhami nahin jati

kyon na hum tark-e-mai-kashi karte
munh lagi mai-kashi nahin jati

apna aatish-kada hai aur main hun
ghair tak shoalagi nahin jati

roz marte hain roz jite hain
apni shaistagi nahin jati

kya ajuba hai jaan ja kar bhi
aankh ki raushni nahin jati

jaane kis maslahat ke mare hain
lab-kushai bhi ki nahin jati

har jatan hum ne kar ke dekh liya
jite ji tishnagi nahin jati

khud ko 'hamid' na sharmsar karo
aap-biti kahi nahin jati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close