is ghaTa-Top andhere ka saman kya kahiye

is ghata-top andhere ka saman kya kahiye
husn-e-tadbir hai aise mein kahan kya kahiye

kuchh jo kahte hain to katti hai zaban kya kahiye
sarguzasht apni sar-e-nok-e-sinan kya kahiye

rabt-e-baham mein bhi taskin-e-dil-e-zar kahan
kis kashakash mein hai ye umr-e-rawan kya kahiye

masale dil ke sulajhte nahin suljhane se
ho agar hota hai ehsas-e-ziyan kya kahiye

but-kade walon ne asnam tarashe kya kya
mutmain phir bhi nahin qalb-e-tapan kya kahiye

jin se duniya ko tawaqqo thi jahanbani ki
mangte phirte hain wo izn-e-azan kya kahiye

ikhtiyaraat kisi aur to kya khud pe nahin
mauj-e-khun bhi hai jahan-e-digran kya kahiye

sher-goi ki sanad lijiye kis se 'hamid'
hum hain aur majma-e-sad-be-hunran kya kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close