huruf arz talab ki surat guzarte lamhon ka khwab likhna hamari aankhon ke samne hi hamare dil ki kitab likhna kisi ki nazron ki narm barish se jab bhi bhige badan ki mitti sulagti sanson ke pairahan par hadis-e-husn-o-shabab likhna hamare honton ki tishna-kaami tumhaari aankhon se jab bhi lapke kahin ye titli kahin pe ghuncha kahin shagufta gulab likhna kabhi haqiqat se khel lena kabhi ulajhna majaz se tum kabhi kisi se karam ki khwahish kabhi kisi se azab likhna mujhe tum itni bulandiyon par na lao ki main khuda nahin hun meri haqiqat ke hashiye mein mere fasane ka bab likhna tum apne jite gharon mein apne gharon ki sazish bhi karna shamil ukhadte khemon ki qimaton mein 'asad' fareb-e-tanab likhna