husn aur ishq ko farq-e-nazari kyun kahiye mai ki tasir ko ek be-khabari kyun kahiye har-nafas zist ka ho jae agar waqf-e-talash justuju kahiye use dar-badari kyun kahiye koh-o-sahra hi nahin arsh ki lata hun khabar meri parwaz ko be-baal-o-pari kyun kahiye kashtiyan dub ke ubhren jo kisi tufan mein na-khudaon ki use dida-wari kyun kahiye bujhte bujhte bhi andheron ki rahe jo dushman aisi hasti ko charagh-e-sahari kyun kahiye jab sulajhti na ho koshish se bhi uljhi hui baat phir to haalat ko aafat se bari kyun kahiye ek koshish thi jo nakaam rahi qismat se 'asr' kuchh kahiye use be-hunari kyun kahiye