tamam umr kabhi mujh se hal hua hi na tha wo masala jo haqiqat mein masala hi na tha badan se jis ki thakan aaj tak nahin utri main us safar pe rawana kabhi hua hi na tha kuchh is liye bhi mujhe hijr mein suhulat hai tera visal kabhi mera muddaa hi na tha badan ka bhed khula hai tera badan chhu kar ye misra mujh pe wagarna kabhi khula hi na tha isi liye to mujhe lautna pada 'sayyad' ki mere pas koi aur rasta hi na tha