husn be-parda hai jalwa aam hai

husn be-parda hai jalwa aam hai
dekhna ahl-e-nazar ka kaam hai

kuchh nahin hota ba-juz hukm-e-khuda
aadmi to muft mein badnam hai

ab khuda bakhshe na bakhshe kya karun
dil to mera banda-e-asnam hai

dekhiye chaliye nazare rah ke
ye safar bas aur do ek gam hai

ham-nashino ab to mere waste
zindagi tuta hua ek jam hai

dard bhi kuchh dab gaya hai dil ke sath
'nur' is karwat bahut aaram hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close