husn-e-alam-soz na-mahdud hona chahiye har tajalli aaftab-alud hona chahiye husn-e-niyyat hai dalil-e-husn anjam-e-amal sai mein bhi jalwa-e-maqsud hona chahiye ek hi jalwa hai jab hangama-ara-e-shuhud phir wahi shahid wahi mashhud hona chahiye husn-e-alam-soz ka faiz-e-tajalli aam hai ek ek zarra yahan masjud hona chahiye shana-o-aina kya ai zulf-e-mushkin-e-ayaz teri zinat ko dil-e-mahmud hona chahiye be-niyazi ab khata-karon ki himmat badh gai bab-e-tauba kuchh dinon masdud hona chahiye kawish-e-mizhgan ka paiham taqaza hai 'aziz' har-nafas ko tere khun-alud hona chahiye