intiha-e-ishq ho yun ishq mein kaamil bano khak ho kar bhi nishan-e-sarhad-e-manzil bano mere shikwon par ye kahna rahm ke qabil bano muddaa ye hai ki apne haal se ghafil bano gharq ho kar rol lo moti khud apne waste dub kar ubhro to auron ke liye sahil bano anjuman kaisi tum apni zat se ho anjuman gosha-e-khalwat mein bhi baitho to ek mahfil bano husn-e-khud-bin moajizat-e-ishq ka qail nahin qatra-ha-e-ashk-e-khunin jama ho kar dil bano sath aazadi ke khud-dari bhi rahna chahiye bahr-e-be-payan kabhi lab khushki-e-sahil bano ilm ka daura lahu ke sath rag rag mein rahe jauhar-e-qabil agar ho quwwat-e-amil bano sharm se tum ko simatna hai to simto husn se dil mein ban jao suwaida putliyon mein til bano rabt-e-baatin kya suno tafsil us ijmal ki hum sarapa dard hon aur tum sarapa dil bano jalne walo ta-ba-imkan zabt soz-e-gham karo aag jab bhadke charagh-e-sarhad-e-manzil bano kuchh dinon baitho sar-e-qabr-e-'aziz'-e-be-nawa khanqahon mein bahut dushwar hai kaamil bano