husn-e-be-parwa ko khud-bin o khud-ara kar diya kya kiya main ne ki izhaar-e-tamanna kar diya badh gain tum se to mil kar aur bhi betabiyan hum ye samjhe the ki ab dil ko shakeba kar diya padh ke tera khat mere dil ki ajab haalat hui iztirab-e-shauq ne ek hashr barpa kar diya hum rahe yan tak teri khidmat mein sargarm-e-niyaz tujh ko aakhir aashna-e-naz-e-beja kar diya ab nahin dil ko kisi surat kisi pahlu qarar us nigah-e-naz ne kya sehr aisa kar diya ishq se tere badhe kya kya dilon ke martabe mehr zarron ko kiya qatron ko dariya kar diya kyun na ho teri mohabbat se munawwar jaan o dil shama jab raushan hui ghar mein ujala kar diya teri mahfil se uthata ghair mujh ko kya majal dekhta tha main ki tu ne bhi ishaara kar diya sab ghalat kahte the lutf-e-yar ko wajh-e-sukun dard-e-dil us ne to 'hasrat' aur duna kar diya