jo wo nazar basar-e-lutf aam ho jae ajab nahin ki hamara bhi kaam ho jae sharab-e-shauq ki qimat hai naqd-e-jaan-e-aziz agar ye bais-e-kaif-e-dawam ho jae rahin-e-yas rahen ahl-e-arzu kab tak kabhi to aap ka darbar aam ho jae jo aur kuchh ho teri did ke siwa manzur to mujh pe khwahish-e-jannat haram ho jae wo dur hi se hamein dekh len yahi hai bahut magar qubul hamara salam ho jae agar wo husn-e-dil-ara kabhi ho jalwa farosh farogh-e-nur mein gum zarf-e-baam ho jae suna hai bar-sar-e-bakhshish hai aaj pir mughan hamein bhi kash ata koi jam ho jae tere karam pe hai mauquf kaamrani-e-shauq ye na-tamam ilahi tamam ho jae sitam ke baad karam hai jafa ke baad ata hamein hai bas jo yahi iltizam ho jae ata ho soz wo ya rab junun-e-'hasrat' ko ki jis se pukhta ye sauda-e-kham ho jae