husn-e-imkan rang-e-rukh rang-e-badan zad par raha kya bataun main tujhe kya kya sajan zad par raha aql walon par wahan khulte hain az-khud raste jis gali mein ek mera diwana-pan zad par raha har sukhan ko tolta hun bolta hun munh se phir jaane kyon phir bhi mera zauq-e-sukhan zad par raha ho rahi hai is tarah tajdid har ek khwab ki jo bacha tha aankh mein aks-e-kuhan zad par raha ishq par hone lagi hain tohmaton ki yurishen husn-e-be-parwa se chaak-e-pairahan zad par raha