husn-e-jaanan nazar nahin aata aah mein kuchh asar nahin aata shoala-e-gham nazar nahin aata ab koi bhi idhar nahin aata dil shab-e-gham se ho gaya manus ab khayal-e-sahar nahin aata ishq ehsan se ibarat hai ishq-e-nadan nazar nahin aata hosh-mandon ki is khudai mein koi diwana-gar nahin aata kab se hain farsh-e-rah dida-o-dil aane wala magar nahin aata jab se tum ne nigah pheri hai koi apna nazar nahin aata jab se 'maikash' bahaar aai hai daman-e-dil nazar nahin aata