mujh ko nahin malum ki wo kaun hai kya hai jo sae ke manind mere sath laga hai ek aur bhi hai jism mere jism ke andar ek aur bhi chehra mere chehre mein chhupa hai mahtab to aaega na sidhi se utar kar diwana kis ummid pe raste mein khada hai milne ki tamanna hai magar us se milen kya jis shakhs ka is shahr mein ghar hai na pata hai likhta hun nai nazm-o-ghazal jis ke sabab main wo zauq-e-sukhan to mujhe wirse mein mila hai maidan mein chale aao to khul jae ye tum par kya sham ki sarshaar hawaon mein maza hai socha tha mere sath chalega jo safar mein ghar par wo mera khwab-e-hasin chhut gaya hai hum 'mir' ka diwan the kya fahm pe khulte akhbar samajh kar hamein logon ne padha hai kahte hain ki us shahr mein hai dhum hamari dekha hai kisi ne na jahan hum ko suna hai bahar se koi aaj to 'khawar' ko pukare kamre mein bahut roz se wo band pada hai