husn-e-KHud-bin ka ishaara mujhe malum na tha

husn-e-khud-bin ka ishaara mujhe malum na tha
un ki aankhon mein hai shikwa mujhe malum na tha

ab siwa marsiya-e-kam-nigahi kya kahiye
samne tha mere jalwa mujhe malum na tha

mujh ko shikwa nahin kuchh aatish-e-gul se lekin
aashiyan yun bhi jalega mujhe malum na tha

gum hui gesu-e-jaanan ki siyahi is mein
itni tarik hai duniya mujhe malum na tha

khun-e-dil jis ke liye sarf kiya hai main ne
wo hai tarik ujala mujhe malum na tha

dur tak naqsh-e-qadam hai na nishan-e-sajda
main hun is rah mein tanha mujhe malum na tha

main gham-e-ahd-e-talluq ko bhula baitha tha
dil ka har zakhm hai taza mujhe malum na tha

dekh kar husn ka utra hua chehra gum hun
un ka ye haal bhi hoga mujhe malum na tha

aur bhi kuchh dar-e-zindan se nikalte hi 'wafa'
sakht ho jaega pahra mujhe malum na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close