mamnun-e-gesu-o-lab-o-rukhsar kaun hai mujh sa shahid-e-tala-e-bedar kaun hai mahw-e-tawaf-e-kucha-e-jaanan sabhi to hain lekin ye dekhiye ki sar-e-dar kaun hai ek shama hai so jalti hai apni hi aag mein ai soz-e-ishq tera azadar kaun hai duniya hai qaid-khana sabhi qaid hain magar in qaidiyon mein tera giraftar kaun hai gul rah mein bichhe hon to sathi hazar hain lekin rafiq-e-wadi-e-pur-khar kaun hai dil mein hun nawak-e-gham-e-dauran liye hue mujh sa haris-e-lazzat-e-azar kaun hai sab pherte hain tujh se nazar ai zawal-e-husn aaine ke siwa tera gham-khwar kaun hai apni dukan badhaiye ab hazrat-e-'wafa' is daur mein wafa ka kharidar kaun hai