husn-e-sad-rang se firdaus ba-daman nikla hum ne jis phul ko dekha wo gulistan nikla ho gae dad-talab aur balaon mein asir hashr ek silsila-e-zulf-e-pareshan nikla aur kya shai hai ye mearaj-e-mohabbat ke siwa aarzu aap ki ho kar mera arman nikla khak mein gardish-e-dauran ne milaya mujh ko aur is par bhi main sar-halqa-e-dauran nikla uf re ye jazba-e-khuddar 'munawar' ki numud ek ajab shan ka shair ye sukhan-dan nikla