ye zard chehra ye dard-e-paiham koi sunega to kya kahega zara se dil mein hazar-ha gham koi sunega to kya kahega na qahqahon ke hi silsile hain na doston mein wo rat-jage hain har ek se milna kiya hai kam kam koi sunega to kya kahega bichhadne walon ka gham na kije khud apne upar sitam na kijiye udas chehra hai aankh pur-nam koi sunega to kya kahega tu sirf apni gharaz ki khatir ye jalte dipak bujha raha hai magar zara ye to soch hamdam koi sunega to kya kahega balaen kitni bhi aaen sar par 'rais' gham ki na kije shohrat ye aah-o-zari ye shor-e-matam koi sunega to kya kahega