husn-e-shiar mein mujhe dhalne nahin diya us ne kisi bhi gam sanbhalne nahin diya hail rah-e-hayat mein hassasiyat rahi is dil ne do qadam mujhe chalne nahin diya rakkha ba-sad khulus rag-o-pai mein mustaqil lamha koi bhi dard ka talne nahin diya kuchh wo bhi chahta tha yahan mustaqil qayam main ne bhi us ko dil se nikalne nahin diya mahfil ko jo diya tere andaz-e-dad ne aisa maza to meri ghazal ne nahin diya ek bar e'tiraf-e-mohabbat pe umr bhar hum ne use bayan badalne nahin diya dariya hazar dil mein bipharte rahe magar aankhon mein koi ashk machalne nahin diya 'tahir-adim' apna diya kya jalaega jis ne mera charagh bhi jalne nahin diya