iqrar ka matlab ho ki inkar ke mani koi to ho samjhe meri guftar ke mani us jaisa koi ho to kahe us ki misalen ho yar sa koi to kare yar ke mani ye jism dil-o-jaan to hain bin mange hi tere phir kya hain tere dast-e-talabgar ke mani ek wo ki uthata gaya buniyaad barabar ek main ki samajhta gaya diwar ke mani bachpan hai jawani hai budhapa hai ye kya hai marna hi agar hai to phir adwar ke mani phulon ko phalon ko sar-e-afkar sajaya yani ki kiye yun lab-o-rukhsar ke mani jata hai to jate hue dil ko bhi jala ja jab tu hi na thahrega to ghar-bar ke mani har chiz yahan apne lawazim ki hai muhtaj sahab hi na thahroge to dastar ke mani ai kash ki jis ke liye kahta hun main 'tahir' wo mujh ko batae mere ashaar ke mani