husn-e-shokh-chashm mein nam ko wafa nahin dard-afrin nazar dard-ashna nahin nang-e-ashiqi hai wo nang-e-zindagi hai wo jis ke dil ka aaina tera aaina nahin aah us ki be-kasi tu na jis ke sath ho hae us ki bandagi jis ka tu khuda nahin haif wo alam-nasib jis ka dard tu na ho uf wo dard-e-zindagi jis ki tu dawa nahin dost ya aziz hain khud-farebiyon ka nam aaj aap ke siwa koi aap ka nahin apne husn ko zara tu meri nazar se dekh dost! shash-jahat mein kuchh tere siwa nahin be-wafa khuda se dar tana-e-wafa na de 'tajwar' mein aur aib kuchh hon be-wafa nahin