hashr mein phir wahi naqsha nazar aata hai mujhe aaj bhi wada-e-farda nazar aata hai mujhe khalish-e-ishq mitegi mere dil se jab tak dil hi mit jaega aisa nazar aata hai mujhe raunaq-e-chashm-e-tamasha hai meri bazm-e-khayal is mein wo anjuman-ara nazar aata hai mujhe un ka milna hai nazar-bandi-e-tadbir ai dil saf taqdir ka dhoka nazar aata hai mujhe tujh se main kya kahun ai sokhta-e-jalwa-e-tur dil ke aaine mein kya kya nazar aata hai mujhe dil ke pardon mein chhupaya hai tere ishq ka raaz khalwat-e-dil mein bhi parda nazar aata hai mujhe ibrat-amoz hai barbaadi-e-dil ka naqsha rang-e-nairangi-e-duniya nazar aata hai mujhe