husn-e-zan kaam lije bad-gumani phir sahi be-takalluf aur kije mehrbani phir sahi aaj jo biti hai dil par majra us ka suno dastan-e-ishrat-e-ahd-e-jawani phir sahi zarf se kam waqt se pahle nahin milti yahan aaj zahr-e-gham hi pi lo arghawani phir sahi tegh kis ke hath mein thi kaun tha sina-sipar ye kahani aaj sun lo wo kahani phir sahi sham-e-fanus-e-talab har rang mein raushan rahe khun-fishani ke maze lo gul-fishani phir sahi zehn ko manus kar deta hai lafzon ka tilism muddaa kah dijiye jadu-bayani phir sahi kis mein himmat hai 'faridi' kaun ye un se kahe muskura kar haal sun lo lan-tarani phir sahi