taza hawa ke waste khiDki na ban saka

taza hawa ke waste khidki na ban saka
de dun kisi ko chhanw wo badli na ban saka

beta basa bides mein daulat ke dher par
lekin wo budhe bap ki lathi na ban saka

shair ka wasta bada gahra hai bhuk se
us ka kalam aaj bhi roti na ban saka

kyun kar karun umid tu mujh sa banega dost
jaisa main chahta hun wo khud bhi na ban saka

kabe se laut kar wahi sud-o-ziyan ki fikr
haj kar liya magar kabhi haji na ban saka

rah ke bhi dur sun sake abba ki khansiyan
beta kabhi bhi bap ki beti na ban saka

khud ki kami ko chhod kar ghairon pe hi uthe
main aaj tak 'sahab' wo ungli na ban saka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close