husn fani hai jawani ke fasane tak hai par ye kam-bakht mohabbat to zamane tak hai wo milega to shanasai dilon tak hogi ajnabiyyat to faqat samne aane tak hai dasht mein panw dhara tha kabhi wahshat ke baghair ab wahi ret mere aaina-khane tak hai shaeri piron faqiron ka wazifa tha kabhi ab to ye kaam faqat nam kamane tak hai chand gardun ko mayassar hai sahar hone tak raqs-e-darwesh tere baam pe aane tak hai main mohammad ke ghulamon ka ghulam ibn-e-ghulam aise nisbat usi pakiza gharane tak hai