pade hain rah mein jo log be-sabab kab se pukarti hai unhen manzil-e-talab kab se ye aur baat makinon ko kuchh khabar na hui laga rahe the muhafiz magar naqab kab se koi bhi harba-e-tashhir kargar na hua tamashbin hi rahi shohrat-e-adab kab se ukhad gai hain tanaben sitam ke khemon ki ulat gai hai bisat-e-hasab-nasab kab se na hausla hai dua ka na aah par hai yaqin ki hum se ruth gaya hai hamara rab kab se samundaron se koi mauj-e-sar-buland uthe ki sahilon pe tadapte hain jaan-ba-lab kab se wo hum ne chun diye tanqid ki salibon par machal rahe the jo kuchh harf zer-e-lab kab se