husn jab maqtal ki jaanib tegh-e-burran le chala ishq apne mujrmon ko pa-ba-jaulan le chala aarzu-e-did-e-jaanan bazm mein lai mujhe bazm se main aarzu-e-did-e-jaanan le chala bismilon ko zakhm zakhmon ko mubarak lazzaten su-e-maqtal phir koi tegh-o-namak-dan le chala khun-e-nahaq ki haya boli zara munh dhank lo naz jab un ko sar-e-khak-e-shahidan le chala kat gaya aashiq sar-e-bazar sauda bik gaya jaan-e-laila ishq ne dil husn-e-khuban le chala khak-e-ashiq rokne ko dur tak lipti gai jab samand-e-naz ko wo garm-jaulan le chala mere ghar tak panw pad kar un ko laya tha niyaz naz daman khinchta su-e-raqiban le chala dil ko jaanan se 'hasan' samjha-bujha ke lae the dil hamein samjha-bujha kar su-e-jaanan le chala