jab mera mahr jalwa-gar hoga dopahar hoga jo pahar hoga tum nahin karte qatl to na karo zahr mein bhi to kuchh asar hoga o raqibon ki raunaq-e-mahfil is taraf bhi kabhi guzar hoga hazrat-e-dil mizaj kaisa hai phir bhi us kuche mein guzar hoga kis ko matlab hai be-kason se 'hasan' kaun mera payam-bar hoga