husn jab mehrban ho to kya kijiye ishq ke maghfirat ki dua kijiye is saliqe se un se gila kijiye jab gila kijiye hans diya kijiye dusron par agar tabsira kijiye samne aaina rakh liya kijiye aap sukh se hain tark-e-talluq ke baad itni jaldi na ye faisla kijiye zindagi kat rahi hai bade chain se aur gham hon to wo bhi ata kijiye koi dhoka na kha jae meri tarah aise khul ke na sab se mila kijiye aql o dil apni apni kahen jab 'khumar' aql ki suniye dil ka kaha kijiye