nai ghazal ka nai fikr-o-agagi ka waraq zamana khol raha hai sukhanwari ka waraq mohabbaton ke hasin bab se zara aage kitab-e-zist mein milta hai gumrahi ka waraq sunahri saaten mansub hain tere gham se palat ke dekh zara meri zindagi ka waraq kitab waqt ki aandhi mein khul gai shayad hawa mein ud gaya derina dosti ka waraq tilawaton mein hain masruf tairan-e-sahar ufuq ne khola hai kirnon ki raushni ka waraq mile hain aaj sukhan mere sab khaton ke jawab jo mere hath laga us ki diary ka waraq