husn jab tak khafa nahin hota aashiqi mein maza nahin hota pujna mat use khuda ke liye koi bhi but khuda nahin hota tark-e-ulfat ka ye na ho aaghaz aaj-kal wo khafa nahin hota hum bhi ghaflat mein umr bhar rahte gar adu ko suna nahin hota kyon kisi ko haqir kahte ho rang khun ka juda nahin hota apni taqdir khud bana lije waqt achchha bura nahin hota is ke aage hain mushkilen aasan mard-e-momin se kya nahin hota deta 'zakir' sada anal-haq ki gar zamin par khada nahin hota