husn jo rang khizan mein hai wo pahchan gaya fasl-e-gul ja mere dil se tera arman gaya tu khudawand-e-mohabbat hai main pahchan gaya dil sa ziddi teri nazron ka kaha man gaya aaina-khana se hota hua hairan gaya khud-faramosh hua jo tumhein pahchan gaya ab to mai-khana-e-ulfat mein chala aaya hun us se kya bahs raha ya mera iman gaya apne dil se bhi chhupane ki thi koshish kya kya wo mera haal-e-mohabbat jise tu jaan gaya hai yahi hukm to tamil karenge sahab na karenge tumhein hum yaad jo dil man gaya chhin gaya kaif bahakte hue kam-zarfon mein mai-kade se bhi gaya main to pareshan gaya na mila chain kisi haal mein majburon ko muskurae to har ek shakhs bura man gaya apni rau mein jo bahae liye jata tha hamein wo zamana wo tamannaon ka tufan gaya jhuk ke chumi jo zamin us ki gali ki hum ne kufr chikha ki sambhaalo mera iman gaya tiliyan khun se tar dekhin qafas ki jo 'saba' apni sukhi hui aankhon pe mera dhyan gaya