mera tan sar se juda karte hi bekal ho gaya wo adhura rah gaya aur main mukammal ho gaya husn ki tawil mein bas itni tabdili hui tat ka tukda tere shanon pe makhmal ho gaya pahle gahre paniyon mein us ki bud-o-bash thi ab hawa ke dosh par aaya to baadal ho gaya phul ki ek zarb se aansu nikal aae mere ek halki baat ka ehsas bojhal ho gaya waqt ki nabzon pe is ka hath bhi kamzor tha sans ki raftar par main bhi musalsal ho gaya is qadar manus thi khilqat andhere se 'nasim' raushni phuti to sara shahr pagal ho gaya