husn ka paikar taj-mahal ishq ka mehwar taj-mahal chand ka ham-sar taj-mahal patthar ka ghar taj-mahal phul ka zewar taj-mahal rup ka sagar taj-mahal jate din ki ranai raat ka jhumar taj-mahal shahjahan ka sachcha khwab mah-e-munawwar taj-mahal maskan hai mumtaz ka ye dil-kash-o-dilbar taj-mahal sari duniya ka mahbub jaan-e-sukhnawar taj-mahal waqt mila to dekhenge hum tum mil kar taj-mahal 'sima' hum waris us ke apna muqaddar taj-mahal