mata-e-dil hai ghane andheron mein kho na jae

mata-e-dil hai ghane andheron mein kho na jae
khayal rakhna ki raat jangal mein ho na jae

dayar-e-dil kal talak to sab par khula hua tha
par ab ye tai hai ki bas wo aaega jo na jae

barasti barish ne jaane kya ji mein than li hai
laga hai dhadka ki khwab aankhon se dho na jae

qadam badhata hai aaj dil phir usi ki jaanib
hisar-e-gham mein ye phir giraftar ho na jae

mere khudaya kabhi to dil ki ana bhi jage
bichhadne wale agar bulaen bhi to na jae

bahut kathin hai teri sadaon se bach ke chalna
mude to dar hai ki jism patthar ka ho na jae

abhi to aadha safar hai aur sham ho rahi hai
mere pahunchne se qabl 'sima' wo so na jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close