husn kaisa ishq bhi ruswa hua yun taqaza-e-junun pura hua kam-nigahi ka teri shikwa nahin apni aankhen khul gain achchha hua ruh yun nikli tere bimar ki jaise bujh jae diya jalta hua rakh liya musa ne jalwon ka bharam hosh kho baithe bahut achchha hua saghar-e-jam se to nakhwat badh gai saqiya jam-e-sifalin kya hua hum ba-qadr-e-zarf pi kar jab uthe daur-e-mai bhi ruk gaya chalta hua khar-ha-e-dasht hi se puchh lo hashr jo kuchh aabla-pa ka hua bahr-e-gham ki nazr lakhon ho gae aaj tak ubhra koi duba hua ab 'riyazi' lutf-e-mai-noshi kahan hai nizam-e-maikada badla hua