mayus laut aai jahan tak nazar gai sahil ki justuju mein qayamat guzar gai bijli giri chaman pe magar aashiyan jala aai thi kis ki maut qaza kis ke sar gai bimar-e-gham ke do hi the mushkil-kusha magar aae na tum qaza bhi kahin ja ke mar gai ek ye bhi zindagi hai ki rote hain raat-din ek wo bhi zindagi thi ki hanste guzar gai aae hain jab chaman mein wo hamrah ghair ke har gul ke sath ghair pe apni nazar gai gul fasl-e-gul mein yun to 'riyazi' khile magar puchho na us kali ki jo khil kar bikhar gai