husn ke inkar se bhi kuchh to parda rah gaya

husn ke inkar se bhi kuchh to parda rah gaya
main bhi kafi mutmain hun wo bhi achchha rah gaya

dil mein us ke mom-batti si jalai bhi magar
raushni ke bawajud itna andhera rah gaya

khubsurat hai to itna hi kamina bhi hai wo
ek bhi dil ne na mani main to kahta rah gaya

dekhne aata bhi hai chhode hue is shahr ko
yani is ke baad kya ujda hai kitna rah gaya

mod kar dariya ko dushman le gae apni taraf
aur idhar ru-e-zamin par dagh-e-dariya rah gaya

aur ghar dekho koi us ke to chehre par 'zafar'
rang-e-dil baqi nahin ab rang-e-duniya rah gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close