kis ko KHabar thi wo bhi mera yar hoega

kis ko khabar thi wo bhi mera yar hoega
aur turt sath sone ko tayyar hoega

kuchh hone aur kuchh bhi na hone ke darmiyan
iqrar hoega kabhi inkar hoega

khola jo us ne raaz hamara to besh-o-kam
poshida is mein bhi koi asrar hoega

gumnam jo bhi rahta hai izzat usi ki hai
mashhur hoega to bahut khwar hoega

jo kuchh samajh mein aaega ruk jaega wahin
jo fahm se wara hai wo izhaar hoega

bahar se jitni hoegi tamir sar-buland
andar usi hisab se mismar hoega

rahne ka haq usi ko ata hoga shahr mein
ab shahr-yar ka jo taraf-dar hoega

jo chhup-chhupa ke hota raha sab se aaj tak
ab hoega to barsar-e-bazar hoega

achchha nahin hai bosa-e-chashm us ka ai 'zafar'
tu rafta-rafta aap hi bimar hoega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close